Our website uses necessary cookies to enable basic functions and optional cookies to help us to enhance your user experience. Learn more about our cookie policy by clicking "Learn More".
Accept All Only Necessary Cookies

Ped PT Strengthening Ex - Abs के बारे में

Bal bhautik chikitsa pet ko majboot banane vale vyayam

Yah app aapko wo jaankari deta hai jo maine apne 25 varshon se adhik samay mein bal bhautik chikitsa mein prapt kiya hai! Yah baccho ke pet ki manspeshiyon ko majboot banane ke liye animated tasveerein aur “kaise karein” upay bhi pradan karta hai. Pet ko majboot banane ke 57 tarikon ke saath, yah app bhautik chikitsak, bhautik chikitsa sahayakon, prashikshakon, dekhbhalkarta aur abhibhavkon ke liye behad sahayak hai. Yah abdominal anuprayog bhavishya mein aane vale 18 aur adhik manspeshi samuhon ke saath pahla manspeshi samuh hai, jise hamne lakshya banaya hai. Naye bhautik chikitsakon ko upchaar satra ki taiyari, yojana banane aur program banane mein sahayata karne ke liye ye sujhav bahut pasand aayenge. Apne upchaar satra mein vividhata laane ke liye jyada anubhavi bhautik chikitsakon ko pet ke upchaar ke liye bahut aasani se sujhavon ki ek vistrit shrinkhala prapt hogi. In sabhi vyayamon ko main bahut acchi tarah se jaanti hun lekin mujhe bhi lagta hai ki main ek hi vyayam ko baar-baar karna shuru kar deti hun. Vyayam ke liye vikalpon ki yaad dilane ke liye main bhi is app ka prayog karungi. Is anuprayog mein pet ko majboot banane ke liye 10 muft vyayam diye gaye hain. Shesh 45 se adhik vyayamon ko in-app kharidari ya vigyapanon se interact karke unlock kiya ja sakta hai. Main isse hone vali aay ki parvaah kiye bina is jaankari ko kisi ke liye bhi uplabdh karaane ke liye pratibaddha hun.

Yah anuprayog abdominals ko lakshaya banata hai jo vak-chikitsa aur vyavsayik chikitsa ke liye bhi mahtvpurn hain. Apne grahakon ke saath lakshya ki taraf teji se badhne mein sahayata karne ke liye vak aur vyavsayik chikitsakon ko majboot banane ke liye yuktiyan milengi. Apne chhatron ko bal chikitsa ke liye aadhar dene ke liye aakhirkar sikshakon ke paas vistrit chitron evam vyaykhya ke saath ek upakaran hoga. Purane samay mein mulyankan ke liye bahut kuch uplabdh kiya gaya tha lekin upchar ke liye behad km cheejein uplabdh thi! Vikasshil deshon ke bhautik chikitsakon ko abhyas ke liye ab lambe prashikshan pathykramon ke kharch ke bina aasani se sujhav prapt ho sakte hain. Mujhe bharosa hai ki yah app duniya bhar mein bhautik chikitsa ki gunvatta ko badal dega.

Yah anuprayog bal bhautik chikitsak ke dwara banaya gaya tha. Koi bhi cheej us bal bhautik chikitsak ki yogyataon ka sthan nahi le sakti jo dekhbhal-kartaon aur abhibhavakon ko apni vyktigat takaton, kamjoriyon evam prerna se ek bacche ke saath in vyayamon ko karne ke liye prasikshit kar sakta hai. Yah anuprayog bhautik chikitsakon ki sahayata ke liye tha, unki aavshyakta ko aswikar karne ke liye nahi. Aasan home programming ki suvidha pradan karne ke liye nirdisht upchar programming ke saath pasandida vyayamon ko tarankit kiya ja sakta hai. Yah suvidha chikitsak ko is anuprayog ko download karne vale abhibhavkon ke saath home programs mein aavritti, dohrav, sets ki sankhya, avadhi, vajan pratirodh aur notes jodne mein saksham karegi.

Pratyek vyayam ka varnan karne ke liye main iske saath vyakhya pradan karti hun. Udaharan ke liye, vyayam ko jyada safal kaise banayein, vyayam ko adhik aasan ya jyada chunautipurn kaise banayein aur kisi vishesh vyayam ko main jaydatar kis prakar ke clients ke saath karti hun aadi par tips. Aap 25 varshon tak kaam karke is jaankari ko dhire-dhire sikh sakte hain..ya aap yah sab abhi isi samay sikh skate hain.

www.pediatricPTexercises.com par hamare app ke baare mein aur adhik jaanein. Facebook https://www.facebook.com/pages/Pediatric-Physical-Therapy-Exercises/347094492096053 ya twitter @amysturkey par hamari community mein shamil hoiye. Yadi aap hamari prashansa karna chahein, parivartan ke liye sujhav dena chahein, ya samany feedback dena chahein to PT aur dreamer amy se [email protected] par aur/ya hamare pratibaddha computer programmer se [email protected] par sampark karein.

Aswikriti: is anuprayog ke shirshak aur vivran Hindi mein anuvadit kiye gaye hain lekin vartman mein yah pura app English mein uplabdh hai.

अनुवाद लोड हो रहा है...

अतिरिक्त ऐप जानकारी

नवीनतम संस्करण

निवेदन Ped PT Strengthening Ex - Abs अपडेट 1.0.2

द्वारा डाली गई

Mhabad Hamasaiid

Android ज़रूरी है

Android 4.0.3+

अधिक दिखाएं

नवीनतम संस्करण 1.0.2 में नया क्या है

Last updated on Mar 19, 2017

Fixed problems with ads sometimes failing to load.

अधिक दिखाएं

Ped PT Strengthening Ex - Abs स्क्रीनशॉट

पिछले 24 घंटों में लोकप्रिय लेख

टिप्पणी लोड हो रहा है...
भाषाओं
APKPure की सदस्यता लें
सर्वश्रेष्ठ एंड्रॉइड गेम और ऐप्स के शुरुआती रिलीज, समाचार और गाइड तक पहुंचने वाले पहले व्यक्ति बनें।
जी नहीं, धन्यवाद
साइन अप करें
सफलतापूर्वक सब्सक्राइब!
अब आप APKPure की सदस्यता ले रहे हैं।
APKPure की सदस्यता लें
सर्वश्रेष्ठ एंड्रॉइड गेम और ऐप्स के शुरुआती रिलीज, समाचार और गाइड तक पहुंचने वाले पहले व्यक्ति बनें।
जी नहीं, धन्यवाद
साइन अप करें
सफलता!
अब आप हमारे न्यूज़लेटर की सदस्यता ले चुके हैं।